Ahmad Nadeem Qasmi

wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
vo jo ik umr se masrūf ibādāt meñ the
aañkh kholī to abhī arsa-e-zulmāt meñ the
sirf āfāt na thiiñ zāt-e-ilāhī kā subūt
phuul bhī dasht meñ the hashr bhī jazbāt meñ the
na ye taqdīr kā likhā thā na manshā-e-ḳhudā
hādse mujh pe jo guzre mire hālāt meñ the
maiñ ne kī hadd-e-nazar paar to ye raaz khulā
āsmāñ the to faqat mere ḳhayālāt meñ the
mere dil par to girīñ aable ban kar būñdeñ
kaun sī yaad ke sahrā the jo barsāt meñ the
is sabab se bhī to maiñ qābil-e-nafrat Thahrā
jitne jauhar the mohabbat ke mirī zaat meñ the
sirf shaitān hī na thā munkir-e-takrīm 'nadīm'
arsh par jitne farishte the mirī ghaat meñ the
Top Urdushayar.com