koī anmol shai paa.ī huī sī lag rahī hai
ki chehre par chamak aa.ī huī sī lag rahī hai
tasalsul hai ḳhunuk sāyoñ kā jo had-e-nazar tak
fazā meñ zulf lahrā.ī huī sī lag rahī hai
gayā hai kaun uTh kar aaj is bazm-e-jahāñ se
udāsī har taraf chhā.ī huī sī lag rahī hai
kahīñ ham dekhte haiñ be-hisī par ḳhauf taarī
kahīñ ġhairat bhī tharrā.ī huī sī lag rahī hai
tujhe rote hue us ne kahīñ dekhā hai shāyad
ki shabnam aaj sharmā.ī huī sī lag rahī hai
abhī kuchh der pahle is qadar ḳhushbū kahāñ thī
ye mahfil terī mahkā.ī huī sī lag rahī hai
tasavvur meñ na jaane aa gayā hai kis kā chehra
tabī.at aaj lalchā.ī huī sī lag rahī hai