hādse sab be-sabab kaise hue
bahte dariyā tishna-lab kaise hue
ghar se bāhar bhī mohazzab log haiñ
mere bachche be-adab kaise hue
jañgaloñ ke bāsiyoñ ko kyā ḳhabar
hādsāt-e-shahr kab kaise hue
saikḌoñ the shahr meñ sūraj-badan
chāñd-tāre muntaḳhab kaise hue
koī to hotā mirā pursān-e-hāl
be-muravvat sab ke sab kaise hue
shahr meñ to aur bhī rahte haiñ yaar
ham pe hī qahr-o-ġhazab kaise hue
degrēyāñ to chand hī logoñ pe thiiñ
shahr meñ itne matab kaise hue