riaz hanfi

tijarat ke usulon mein rawadari bhi hoti hai

riaz hanfi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
tijārat ke usūloñ meñ ravādārī bhī hotī hai
sabab nuqsān kā nā-tajraba-kārī bhī hotī hai
kitābeñ hī sulā detī haiñ ġhaflat ke añdheroñ meñ
kitāboñ hī se nasl-e-nau meñ bedārī bhī hotī hai
jarā.em-pesha logoñ se koī ḳhush bhī nahīñ rahtā
jarā.em-pesha logoñ kī taraf-dārī bhī hotī hai
ta.ajjub hai vahāñ insāf kī ummīd rakhte ho
jahāñ aksar usūloñ kī ḳharīdārī bhī hotī hai
zarūrat-mand logoñ meñ sabhī saa.il nahīñ hote
faqīroñ jaisī kuchh logoñ meñ ḳhuddārī bhī hotī hai
yahī āñkheñ sarāboñ jaisā manzar pesh kartī haiñ
inhīñ āñkhoñ se ashkoñ kī nadī jaarī bhī hotī hai
kisī ke qahqahoñ par rashk mat karnā 'riyāz' aksar
musalsal hañste rahnā ek bīmārī bhī hotī hai
Top Urdushayar.com