riaz hanfi

aankhen lahuluhan kin daman bhi tar kiya

riaz hanfi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
āñkheñ lahūluhān kiiñ dāman bhī tar kiyā
terī har ek baat ne dil par asar kiyā
kuchh to tabī.atan bhī the āvāra-gard ham
kuchh terī justujū ne hameñ dar-ba-dar kiyā
yuuñ to hamāre saath ka.ī log the magar
kāñToñ bharī zamīn pe tanhā safar kiyā
ham ne hī apne ḳhuun kā ġhāza diyā tujhe
ham ne hī tujh ko sinf-e-ġhazal mo'atabar kiyā
kis ne hamārī raah meñ kāñTe bichhā diye
kis ne hamārī raah ko dushvār tar kiyā
āḳhir udāsiyoñ ke siyah abr chhaT ga.e
koī to hai hamārā ki shab ko sahar kiyā
sachchā.iyoñ meñ lipTe hue jhuuT ke sabab
mushkil se e'tibār ke jañgal ko sar kiyā
Top Urdushayar.com