riaz hanfi

ye aur baat ki aansu baha nahin sakte

riaz hanfi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
ye aur baat ki aañsū bahā nahīñ sakte
bichhaḌ ke tujh se magar muskurā nahīñ sakte
amiir baap ke beToñ ko sharm aatī hai
kisī kī raah kā patthar haTā nahīñ sakte
ham āftāb kī bastī ke rahne vaale haiñ
hameñ havāoñ ke jhoñke bujhā nahīñ sakte
yahī ilāqa to shahbāz kā ilāqa hai
yahāñ chhatoñ pe kabūtar uḌā nahīñ sakte
vo be-gunāhoñ kā qātil hai qatl hī hogā
farishte us kī hifāzat ko aa nahīñ sakte
mushāhidoñ kā asāsa agar salāmat hai
purāne log na.e zaḳhm khā nahīñ sakte
hameñ to is liye sahnā hai muflisī kā azaab
zamīr bech ke daulat kamā nahīñ sakte
hamārī raah meñ chaTTān ho ki dariyā ho
baḌhā diye haiñ qadam to haTā nahīñ sakte
hamāre saath duāoñ ke qāfile haiñ 'riyāz'
hamārī raah meñ tūfān aa nahīñ sakte
Top Urdushayar.com