riaz hanfi

sitamgaron ki itaat qubul karta hai

riaz hanfi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
sitamgaroñ kī itā.at qubūl kartā hai
jadīd daur kā insāñ bhī bhuul kartā hai
tamām a.azā haiñ gumrāh ummatoñ kī tarah
bas ek dil hai jo kār-e-rasūl kartā hai
baḌī aziim duā se navāz kar saa.il
bahut haqīr sī qīmat vasūl kartā hai
kahāñ mahakte the pahle mire dar-o-dīvār
ye kaam us kī mohabbat kā phuul kartā hai
fasāna chheḌ ke guzre hue zamāne kā
vo apne saath mujhe bhī malūl kartā hai
hamāre bas meñ nahīñ hai mohabbatoñ kā nizām
vo ham se harf-e-shikāyat fuzūl kartā hai
mujhe to raqs bhī karne kā fan nahīñ aatā
zamāna kis liye merī nuqūl kartā hai
bichhaḌ gayā hai koī to koī milegā bhī
'riyāz' kis liye ḳhud ko malūl kartā hai
Top Urdushayar.com