lazzat-e-vasl muḳhtasar mat rakh
shab kī taqdīr meñ sahar mat rakh
aag kartī nahīñ kisī kā lihāz
baañs ke jañgaloñ meñ ghar mat rakh
rizq bhī be-sabab nahīñ miltā
apne bachchoñ ko be-hunar mat rakh
tujh ko sahrā meñ raqs karnā hai
paañv se bāñdh kar bhañvar mat rakh
ġhair mumkin nahīñ falak kī sair
nā-umīdī ko ham-safar mat rakh
tujh ko sonā hai qabr meñ apnī
mere a.amāl par nazar mat rakh
guftugū chal rahī hai tāroñ se
shaam kī aañkh meñ sahar mat rakh