riaz hanfi

KHushi ki saaten gham ki faza na ras aai

riaz hanfi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
ḳhushī kī sā.ateñ ġham kī fazā na raas aa.ī
ki zindagī ko koī bhī adā na raas aa.ī
jise talāsh kiyā ḳhud ko bhuul kar ham ne
usī jazīre kī āb-o-havā na raas aa.ī
parā.e ghar ke makīnoñ se kyā gila shikva
hameñ to apne hī ghar kī fazā na raas aa.ī
vahī huā ki tirā haath tujh se maañg liyā
mohabbatoñ ke safar meñ anā na raas aa.ī
ka.ī charāġh haiñ raushan fasīl-e-shab pe magar
ka.ī charāġhoñ ko taaza havā na raas aa.ī
barahna karne lagī inqalāb kī āñdhī
qabā-e-jāh-o-hasham bhī zarā na raas aa.ī
hujūm-e-shahr meñ har aadmī akelā hai
yahāñ kisī ko kisī kī vafā na raas aa.ī
vo qabr jaise makānoñ meñ kaise zinda haiñ
jinheñ kushāda gharoñ kī fazā na raas aa.ī
Top Urdushayar.com