vo kisī taur kisī lamha nazar bhī aate
zinda hote to kabhī lauT ke ghar bhī aate
āsmāñ ham pe agar nazr-e-ināyat kartā
ḳhair-maqdam ke liye shams-o-qamar bhī aate
jin ke kirdār kī ḳhushbū se mahaktī hai fazā
aise mehmān kabhī to mire ghar bhī aate
maiñ agar hotā zamīñ-zādoñ ke lashkar meñ sharīk
mere raste meñ samundar bhī bhañvar bhī aate
merī be-laus mohabbat kā taqāza hai yahī
mujh se milne vo kabhī to mire ghar bhī aate
bādshāhī se adāvat sī rahī hai varna
kuchh ilāqe to mire zer-e-asar bhī aate
sabr se tum ne agar kaam liyā hotā 'riyāz'
ġham ke peḌoñ pe masarrat ke samar bhī aate