Masood Akhtar Jamal

saqi bhi mai-e-gulfam bhi hai rindon ko sala-e-am bhi hai

Masood Akhtar Jamal

Banaras, Uttar pradesh, India

1915-1981
saaqī bhī mai-e-gulfām bhī hai rindoñ ko salā-e-ām bhī hai
gardish meñ chhalaktā jaam bhī hai bahkeñ to magar ilzām bhī hai
sab kuchh maiñ luTā detā lekin kyā kahiye ki un kī nazroñ meñ
hushyārī kī talqīn bhī hai sar-mastī kā paiġhām bhī hai
tanvīr-e-numūd-e-sub.h bhī hai aariz ke damakte jalvoñ meñ
zulfoñ ke machalte saa.e meñ tasvīr-e-savād-e-shām bhī hai
ai dil ye junūñ kī manzil hai kuchh sūd-o-ziyāñ kī fikr na kar
har gaam pe yaañ rahrav ke liye āġhāz bhī hai anjām bhī hai
ab dair-o-haram kī shorish ko ai vā.iz-e-nādān bhuul bhī jā
ye bazm ki bazm-e-rindāñ hai yaañ kufr bhī hai islām bhī hai
shohrat bhī milī izzat bhī milī lekin ye 'jamāl'-e-naġhma-sarā
dil-gīr bhī hai barbād bhī hai nāshād bhī hai nākām bhī hai
Top Urdushayar.com