talāsh-e-kaun-o-makāñ hai na lā-makāñ kī talāsh
ye zindagī hai ġham-e-ishq-e-jāvedāñ kī talāsh
isī zamīñ ko hameñ āsmāñ banānā hai
hameñ nahīñ hai kisī aur āsmāñ kī talāsh
kisī ko manzil-e-ishrat kā ġham hai aur mujhe
huī hai manzil-e-ishrat pe kārvāñ kī talāsh
ye ḳhvāb hai ki hai tābīr-e-ḳhvāb ai ġham-e-dil
har ik qadam hai yahāñ umr-e-rā.egāñ kī talāsh
bahār-e-lāla-o-gul barq-e-be-amāñ niklī
kahāñ kahāñ na rahī mere āshiyāñ kī talāsh
jo ho sake to mirā ġham hī jāvedāñ ho jaa.e
'jamāl' mujh ko nahīñ aish-e-jāvedāñ kī talāsh