aish-e-rafta ne bahut ḳhuun rulāyā hai mujhe
phuul kī sej ne kāñToñ pe sulāyā hai mujhe
de ke ik sho.ala-e-guftār jagāyā hai mujhe
ahd-e-ḳhvābīda ne be-dard banāyā hai mujhe
zard-rū ḳhaar bhī hai āshiq-e-salmā-e-bahār
shoḳh kaliyoñ ne ishāroñ meñ batāyā hai mujhe
TūTtā hī nahīñ rañgīnī-e-ḳhvāhish kā tilism
ism-e-āzam kā amal bhī to sikhāyā hai mujhe
ḳhūn-e-mazlūm akārat to nahīñ jā saktā
zaḳhm-e-gul-rez ne phūloñ se sajāyā hai mujhe
shāyad is daur kā shiv-jī hī samajh kar 'jāved'
vaqt ne ziist kā sab zahr pilāyā hai mujhe