tishna-lab kahte rahe suntī rahī pyāsī raat
subah tak chaltī rahī durd-e-tah-e-jām kī baat
ye havas-pesha havas-kār havas-ḳhū duniyā
ḳhuub hai jis meñ bhaTaktī hai guzargāh-e-najāt
paḌte hī dil pe kisī shoḳh nazar kā partav
jagmagāne lagī dhaḌkan to saje mahsūsāt
jagmagātī hai kiran dard kī dhaḌkan dhaḌkan
aap ko pesh karūñ pyaar kī rañgīñ sauġhāt
ik masīhā kī nishānī hai ye hañstā huā zaḳhm
ham ko darkār nahīñ marham-o-darmān-e-hayāt
vaqt zālim hai miTā detā hai shaddādoñ ko
aap kā zulm hai kyā aap kī kyā hai auqāt
jām-o-ā.īna yahī dil thā kisī din 'jāved'
us ne toḌā hai jise sañg-dilī se haihāt