Javed Vashisht

har dil jo hai betab to har ek aankh bhari hai

Javed Vashisht

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1920-1994
har dil jo hai betāb to har ik aañkh bharī hai
insān pe sach-much koī uftād paḌī hai
rah-rau bhī vahī aur vahī rāhbarī bhī
manzil kā pata hai na kahīñ raah milī hai
muddat se rahī farsh tirī rāhguzar meñ
tab jā ke sitāroñ se kahīñ aañkh laḌī hai
aisā bhī kahīñ dekhā hai mai-ḳhāne kā dastūr
har chashm hai labrez har ik jaam tahī hai
ruḳhsār-e-bahārāñ pe chamaktī huī surḳhī
kahtī hai ki gulshan meñ abhī sub.h huī hai
samjhā hai tū zarre ko faqat zarra-e-nāchīz
chhoTī sī ye duniyā hai jo sūraj se baḌī hai
duniyā meñ koī ahl-e-nazar hī nahīñ baaqī
kotāh-nigāhī hai tirī kam-nazarī hai
mad.hosh fazā mast havā hosh kī mat pūchh
vāraftagi-e-shauq hai ik gum-shudagī hai
kāñToñ pe chale haiñ to kahīñ phuul khile haiñ
phūloñ se mile haiñ to baḌī choT lagī hai
phir soch lo ik baar abhī vaqt hai 'jāved'
shikve meñ kuchh andesha-e-ḳhātir-shikanī hai
Top Urdushayar.com