Javed Vashisht

wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

Javed Vashisht

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1920-1994
vo jo dāġh-e-ishq thā ḳhush-numā jo amānat-e-dil-e-zār thā
sar-e-bazm thā to charāġh thā sar-e-rāh thā to ġhubār thā
use maiñ hī jānūñ huuñ dostoñ kisū vaqt apnā bhī yaar thā
kabhū mom thā kabhū sañg thā kabhū phuul thā kabhū ḳhaar thā
tirī yaad hai ki bujhī bujhī tirā zikr hai ki rukā rukā
tirī yaad se to sukūn thā tire zikr se to qarār thā
ye to vaqt vaqt kī baat hai hameñ un se koī gila nahīñ
vo hoñ aaj ham se ḳhafā ḳhafā kabhū ham se un ko bhī pyaar thā
vo nagar to kab kā ujaḌ gayā ham usī nagar se to aa.e haiñ
kahīñ maqbara thā ḳhulūs kā to kahīñ vafā kā mazār thā
jise shauq thā tirī diid kā jise pyaas thī tire pyaar kī
jo tirī galī meñ muqīm thā vahī ajnabī sar-e-dār thā
tire dil se merā ḳhulūs-e-dil na jhalak sakā to maiñ kyā karūñ
mire aks kī to ḳhatā na thī tire ā.īne pe ġhubār thā
Top Urdushayar.com