jalva-e-husn-e-azal dīda-e-bīnā mujh se
jaane kyā soch ke phir kar liyā parda mujh se
ġham se ehsās kā ā.īna jilā paatā hai
aur ġham sīkhe hai aa kar ye salīqa mujh se
raat phir jashn-e-charāġhāñ ke liye māñgā thā
mauj-e-ehsās ne ik pyaas kā shola mujh se
maiñ ne mazlūm kā bas naam liyā thā logo
jaane kyuuñ ho gayā barham vo masīhā mujh se
merī ḳhvāhish pe hai mauqūf vajūd-e-ālam
aur hai mansūb azal se ye karishma mujh se
dil huuñ maiñ pyaar bharā aur tū nāzuk dhaḌkan
dil kā tujh se hai magar dard kā rishta mujh se
bazm yādoñ kī sajī gosha-e-dil meñ 'jāved'
phir vahī taaza ġhazal kā hai taqāzā mujh se