chāñd tāroñ kī bharī bazm uThī jaatī hai
ab to aa jaao hasīñ raat Dhalī jaatī hai
rafta rafta tirī har yaad miTī jaatī hai
gard sī vaqt ke chehre pe jamī jaatī hai
mere aage se haTā lo mai o miinā o subū
un se kuchh aur mirī pyaas baḌhī jaatī hai
aaj apne bhī parā.e se nazar aate haiñ
pyaar kī rasm zamāne se uThī jaatī hai
kis liye kis ke liye kis ke nazāre ke liye
chāñd tāroñ se har ik raat sajī jaatī hai
na havā.eñ haiñ muāfiq na fazā.eñ lekin
aap hī aap kalī dil kī khilī jaatī hai
laakh samjhā.e koī laakh bujhā.e phir bhī
dil se 'jāved' kahīñ dil kī lagī jaatī hai