āgahī sūd-o-ziyāñ kī koī mushkil bhī nahīñ
hāsil-e-umr magar umr kā hāsil bhī nahīñ
aañkh uThāo to hijābāt kā ik aalam hai
dil se dekho to koī raah meñ haa.il bhī nahīñ
dil to kyā jaañ se bhī inkār nahīñ hai lekin
dil hai badnām bahut phir tire qābil bhī nahīñ
uljhaneñ laakh sahī ziist meñ lekin yaaro
raunaq-e-bazm-e-jahāñ nazr-e-masā.il bhī nahīñ
tere dīvāne ḳhudā jaane kahāñ jā nikle
der se dasht meñ āvāz-e-salāsil bhī nahīñ
dard kī aañch banā detī hai dil ko iksīr
dard se dil hai agar dard nahīñ dil bhī nahīñ
ġhaur se dekho to ye ziist hai zaḳhmoñ kā chaman
aur 'jāved' ba-zāhir koī ghā.il bhī nahīñ