maiñ us daraḳht kā bas āḳhirī hī patta thā
jise hamesha havā ke ḳhilāf laḌnā thā
maiñ zindagī meñ kabhī is qadar na bhaTkā thā
ki jab zamīr mujhe rasta dikhātā thā
machine ban to chukā huuñ magar nahīñ bhūlā
ki mere jism meñ dil bhī kabhī dhaḌaktā thā
vo bachcha kho gayā duniyā kī bhiiḌ meñ kab kā
hasīn ḳhvāboñ kī jo titliyāñ pakaḌtā thā
phir us ke ba.ad parindoñ pe jaane kyā guzrī
maiñ ek peḌ kī shāḳhoñ ko kaaT aayā thā
tamām-umr vo aayā nahīñ zamīñ pe kabhī
havā meñ us ne jo sikka jo kabhī uchhālā thā
mirā vajūd bhī shāmil thā us kī miTTī meñ
mirā bhī khet kī fasloñ meñ koī hissa thā
na jane kitnī surañgeñ nikal ga.iiñ us se
khaḌā pahāḌ bhī to aañkh kā hī dhoka thā
jo baat baat pe khātā rahā ḳhudā kī qasam
qasam ḳhudā kī vahī aadmī to jhūTā thā
pata karo ki abhī vo baḌā huā ki nahīñ
baḌe daraḳht ke nīche jo nanhā paudā thā
us ek sher pe āñkheñ chamak uThī us kī
vo sher jis meñ ki roTī kā zikr aayā thā
hamārī zindagī thī ik talāsh paanī kī
jahāñ pe ret kā 'dvij' ek chhantā dariyā thā