Dwijendra Dwij

us ka hai azm-e-safar aur nikharne wala

Dwijendra Dwij

us kā hai azm-e-safar aur nikharne vaalā
saḳht mausam se musāfir nahīñ Darne vaalā
chārgar tujh se nahīñ koī tavaqqo mujh ko
dard hotā hai davā had se guzarne vaalā
nā-ḳhudā tujh ko mubārak ho ḳhudā.ī terī
saath tere maiñ nahīñ paar utarne vaalā
us pe ehsān ye karnā na uThānā us ko
apne pairoñ pe khaḌā hogā vo girne vaalā
paar karne the use kitne savāloñ ke bhañvar
aTkaleñ chhoḌ gayā Duub ke marne vaalā
maiñ uḌānoñ kā taraf-dār use kaise kahūñ
bāl-o-par jo hai parindoñ ke katarne vaalā
kyuuñ bhalā mere liye itne pareshāñ ho tum
ek patta hī to huuñ suukh ke jharne vaalā
apnī nazroñ se girā hai jo kisī kā bhī nahīñ
saath kyā degā tirā ḳhud se mukarne vaalā
gard hālāt kī ab aisī jamī hai tujh par
ā.īne aks nahīñ koī ubharne vaalā
ye zamīñ vo to nahīñ jis kā thā va.adā terā
koī manzar to ho āñkhoñ meñ Thaharne vaalā
Top Urdushayar.com