jitnā dikhtā huuñ mujhe us se ziyāda na samajh
is zamīñ kā huuñ mujhe koī farishta na samajh
ye tirī aañkh ke dhoke ke sivā kuchh bhī nahīñ
ek bahte hue dariyā ko kinārā na samajh
chhoḌ jā.egā tirā saath añdhere meñ yahī
ye jo saaya hai tirā is ko bhī apnā na samajh
jin kitāboñ ne añdheroñ ke sivā kuchh na diyā
un kitāboñ ke ujāloñ ko ujālā na samajh
ye jo biphrā to Dubo.egā safīne kitne
tū ise aañkh se Tapkā huā qatra na samajh
vo tujhe bāñTne aayā hai ka.ī TukḌoñ meñ
muskurāte hue shaitāñ ko masīhā na samajh
tujh se hī maañg rahā hai vo to ḳhud apnā vajūd
ḳhud jo saa.il hai use koī ḳhalīfa na samajh
hai tire saath agar tere irādoñ kā junūn
qāfila hai tū kabhī ḳhud ko akelā na samajh
saath haiñ mere buzurgoñ kī duā.eñ itnī
maiñ huuñ mahfil tū mujhe pal ko bhī tanhā na samajh