ye kaun chhoḌ gayā us pe ḳhāmiyāñ apnī
mujhe dikhātā hai ā.īna jhurriyāñ apnī
banā ke chhāp lo tum un ko surḳhiyāñ apnī
kueñ meñ pheñk dī ham ne to nekiyāñ apnī
badalte vaqt ki raftār thāmte haiñ huzūr
badalte rahte haiñ aksar jo Topiyāñ apnī
qatāreñ dekh ke lambī hazāroñ logoñ kī
maiñ phaaḌ detā huuñ aksar sab arziyāñ apnī
nahīñ lihāf ġhilāfoñ kī kaun baat kare
tū dekh phir bhī guzartī haiñ sardiyāñ apnī
zalīl hotā hai kab vo use hisāb nahīñ
abhī to gin rahā hai vo dihāḌiyāñ apnī
yuuñ baat kartā hai vo pur-tapāk lahje meñ
magar chhupā nahīñ paatā vo talḳhiyāñ apnī
bhale dinoñ meñ kabhī ye bhī kaam aa.egā
abhī sambhāl ke rakh lo udāsiyāñ apnī
hameñ hī āñkhoñ se un ko sunānā aatā nahīñ
sunā hī dete haiñ chehre kahāniyāñ apnī
mire liye mirī ġhazleñ haiñ canvas kī tarah
ukerata huuñ maiñ jin par udāsiyāñ apnī
tamām falsafe ḳhud meñ chhupā.e rahtī haiñ
kahīñ haiñ dhuup kahīñ chhāñv vādiyāñ apnī
abhī jo dhuñd meñ lipTī dikhā.ī detī haiñ
kabhī to dhuup nahā.eñgī bastiyāñ apnī
buland hausloñ ki ik misāl haiñ ye bhī
pahāḌ roz dikhāte haiñ choTiyāñ apnī
bhulā rahī hai tujhe dhuup 'dvij' pahāḌoñ kī
tū kholtā hī nahīñ phir bhī khiḌkiyāñ apnī