Dwijendra Dwij

aaine kitne yahan TuT chuke hain ab tak

Dwijendra Dwij

aa.ine kitne yahāñ TuuT chuke haiñ ab tak
āfrīñ un pe jo sach bol rahe haiñ ab tak
TuuT jā.eñge magar jhuk nahīñ sakte ham bhī
apne nāmoñ kī hifāzat meñ tane haiñ ab tak
rahnumā un kā vahāñ hai hī nahīñ muddat se
qāfile vaale kise DhūñD rahe haiñ ab tak
apne is dil ko tasallī nahīñ hotī varna
ham haqīqat to tirī jaan chuke haiñ ab tak
fat.h kar sakta nahīñ jin ko junūñ maz.hab kā
kuchh vo tahzīb ke mahfūz qile haiñ ab tak
un kī āñkhoñ ko kahāñ ḳhvāb mayassar hote
niiñd bhar bhī jo kabhī so na sake haiñ ab tak
dekh lenā kabhī manzar vo ghane jañgal kā
jab sulag uTTheñge jo ThūñTH dabe haiñ ab tak
roz nafrat ki havāoñ meñ sulag uThtī hai
ek chiñgārī se ghar kitne jale haiñ ab tak
un ujāloñ kā nayā naam batāo kyā ho
jin ujāloñ meñ añdhere hī pale haiñ ab tak
pur-sukūñ aap kā chehra ye chamaktī āñkheñ
aap bhī shahr meñ lagtā hai na.e haiñ ab tak
ḳhushk āñkhoñ ko ravānī hī nahīñ mil paa.ī
yuuñ to ham ne bhī ka.ī sher kahe haiñ ab tak
duur apnī hai abhī pyaas bujhānā mushkil
aur 'dvij' aap to do kos chale haiñ ab tak
Top Urdushayar.com