zehn meñ aur koī Dar nahīñ rahne detā
shor andar kā hameñ ghar nahīñ rahne detā
koī ḳhuddār bachā le to bachā le varna
peT kāñdhoñ pe koī sar nahīñ rahne detā
āsmāñ bhī vo dikhātā hai parindoñ ko na.e
haañ magar un pe koī par nahīñ rahne detā
ḳhushk āñkhoñ meñ utar aatā hai bādal ban kar
dard ehsās ko banjar nahīñ rahne detā
ek poras bhī to rahtā hai hamāre andar
jo sikandar ko sikandar nahīñ rahne detā
un meñ ik ret ke dariyā sā Thahar jaatā hai
ḳhauf āñkhoñ meñ samundar nahīñ rahne detā
hādsoñ kā hai dhuñdlakā sā 'dvij' āñkhoñ meñ
ḳhūb-sūrat koī manzar nahīñ rahne detā