dil meñ hai talab aur duā aur tarah kī
hai ḳhāk-nashīnī kī sazā aur tarah kī
jab raakh se uTThegā kabhī ishq kā sho.ala
phir pā.egī ye ḳhaak shifā aur tarah kī
jaate hue mausam kī to pahchān yahī hai
dastak meñ mujhe degā sadā aur tarah kī
hai hijr kā pairāya-e-fan aur tarah kā
aur vasl-kahānī hai zarā aur tarah kī
shab bhī hai vahī ham bhī vahī tum bhī vahī ho
hai ab ke magar apnī sazā aur tarah kī