gumāñ mehr-e-daraḳhshāñ kā huā hai rū-e-raushan par
ta.ajjub ek aalam ko hai kyā kyā un ke joban par
paḌhī jab fātiha to paḌhte paḌhte hañs diyā goyā
girā.ī aap ne bijlī jab aa.e mere madfan par
hamārā dil dukhānā kuchh hañsī yā khel samjhe ho
samajh pakḌo javāñ ho ab na jaao tum laḌakpan par
suḳhan ko aap ke ai hazrat-e-dil kis tarah mānūñ
kisī ko e.atibār aatā nahīñ hai qaul-e-dushman par
hamārī aañkh se girte nahīñ ye ashk ke qatre
nichhāvar karte haiñ motī tumhāre rū-e-raushan par
nazar meñ jaise 'shīrīñ' ke tumhārā rū-e-raushan hai
nahīñ paḌtī hai aañkh us kī gul-e-shādāb-e-gulshan par