Badr-e-Alam Khalish

aasman par kale baadal chha gae

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
āsmāñ par kaale bādal chhā ga.e
ghar ke andar aa.ine dhuñdlā ga.e
kyā ġhazab hai ek bhī koyal nahīñ
sab baġhīche aam ke manjarā ga.e
ghaTte baḌhte fāsloñ ke darmiyāñ
daf.atan do rāste bal khā ga.e
Dūbtā hai aa ke sūraj un ke paas
vo darīche mere dil ko bhā ga.e
shahr kyā duniyā badal kar dekh lo
phir kahoge ham to ab uktā ga.e
sāmne thā be-ruḳhī kā āsmāñ
is liye vāpas zamīñ par aa ga.e
yaad aayā kuchh girā thā TuuT kar
be-ḳhudī meñ ḳhud se kal Takrā ga.e
hurmat-e-lauh-o-qalam jaatī rahī
kis tarah ke log adab meñ aa ga.e
ham haiñ mujrim aap mulzim bhī nahīñ
aap kis anjām se ghabrā ga.e
ho ga.ī hai sho.ala-zan har shāḳh-e-gul
baḌh rahe the haath jo tharrā ga.e
dhañs ga.e jo ruk ga.e the raah meñ
dekhte the muḌ ke jo pathrā ga.e
ghar kī tanhā.ī jab āñgan ho ga.ī
ye sitāre kyā qayāmat Dhā ga.e
the muḳhātab jism lahje be-shumār
jāñ-balab armāñ 'ḳhalish' ġhazlā ga.e
Top Urdushayar.com