Badr-e-Alam Khalish

kahin subh-o-sham ke darmiyan kahin mah-o-sal ke darmiyan

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
kahīñ sub.h-o-shām ke darmiyāñ kahīñ māh-o-sāl ke darmiyāñ
ye mire vajūd kī saltanat hai ajab zavāl ke darmiyāñ
abhī sehn-e-jāñ meñ bichhī huī jo bahār hai use kyā kahūñ
maiñ kisī itaab kī zad meñ huuñ tū kisī malāl ke darmiyāñ
haiñ kisī ishāre ke muntazir ka.ī shahsavār khaḌe hue
ki ho garm phir koī ma.arka mire zabt-e-hāl ke darmiyāñ
nahīñ tarjumān-e-bayāñ koī jo hai parda-dār-e-sukūt hai
haiñ ye daaġh daaġh ibārateñ baḌe ehtimāl ke darmiyāñ
yahāñ zarra zarra hai dīda-var nahīñ zarra bhar koī be-ḳhabar
kisī kam-nazar ko paḌī hai kyā paḌe kyuuñ savāl ke darmiyāñ
na rahā dhuāñ na hai koī bū lo ab aa ga.e vo surāġh-jū
hai har ik nigāh gurez-ḳhū pas-e-ishti.āl ke darmiyāñ
the jo par-kushā haiñ zubūñ zubūñ the jo sar-ba-kaf hue sar-nigūñ
kahīñ kho ga.e darūñ darūñ ye kis indr-jāl ke darmiyāñ
lagī zarb aisī hai bar-mahal ki ye marhala bhī hai jāñ-gusil
hue zaḳhm phir se lahū lahū the jo indimāl ke darmiyāñ
kabhī shikva-zan kabhī nukta-chīñ kabhī bāġhiyoñ kā himāyatī
ye 'ḳhalish' hai kaun kaho use rahe e'tidāl ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com