zarūratoñ kī hamāhamī meñ jo raah chalte bhī Toktī hai vo shā.irī hai
maiñ jis se āñkheñ churā rahā huuñ jo merī nīndeñ churā rahī hai vo shā.irī hai
jo aag siine meñ pal rahī hai machal rahī hai bayāñ bhī ho to ayaañ na hogī
magar in āñkhoñ ke ābloñ meñ jo jal rahī hai pighal rahī hai vo shā.irī hai
thā ik talātum mai-e-taḳhayyul ke jām-o-ḳhum meñ to jal-tarañgoñ pe chhiḌ ga.ī dhun
jo parda-dār-e-nashāt-e-ġham hai jo zaḳhma-kār-e-navā-garī hai vo shā.irī hai
yahāñ to har din hai ik sunāmī hai ek jaisī har ik kahānī to kyā sunoge
magar vo ik ḳhasta-hāl kashtī jo misl-e-lāsha paḌī huī hai vo shā.irī hai
hai bādaloñ ke siyāh ghoḌoñ ke saath varna havā kī parchhā.īñ kis ne dekhī
dhulī dhulī dhuup ke badan par jo chhāñv jaisī subuk-ravī hai vo shā.irī hai
vahī to kal surma.ī chaTānoñ ke darmiyāñ se guzar rahī thī biphar rahī thī
vahī nadī ab thakī thakī sī jo ret ban kar bikhar ga.ī hai vo shā.irī hai
ghaḌī kī Tik-Tik diloñ kī dhak dhak se baat kartī agar tanaffus muḳhil na hotā
to aisī shiddat kī gū-magū meñ jo ham-kalāmī kī ḳhāmushī hai vo shā.irī hai
jo qahqahoñ aur qumqumoñ se sajī-dhajī hai usī galī se guzar ke dekho
añdhere zīnoñ pe sar-ba-zānū jo bekasī ḳhuun thūktī hai vo shā.irī hai
na hijratoñ ke haiñ daaġh baaqī na apnī gum-gashtagī kā koī surāġh baaqī
so ab jo taarī hai sogvārī jo apnī fitrat se mātamī hai vo shā.irī hai
hai lāla-zār-e-ufuq se aage abhī jo dhundlā sā ik sitāra hai isti.āra
jo hogī tīra-shabī meñ raushan vo koī zohra na mushtarī hai vo shā.irī hai
ġhuzashtagānī hai zindagānī na ye havā hai na hai ye paanī faqat ravānī
jo vāqi.ātī hai vo hai qissa jo vāqa.ī hai vo shā.irī
jo husn-e-manzar hai canvas par vo rañgrezī nahīñ barash kī to aur kyā hai
ab is se aage koī nazar jis jahān-e-ma.anī ko DhūñDhtī hai vo shā.irī hai
ye sher-goī vo ḳhud-farāmosh kaifiyat hai jahāñ ḳhudī kā guzar nahīñ hai
ḳhudī kī bāz-āvarī se pahle jo be-ḳhudī kī ḳhud-āgahī hai vo shā.irī hai
jo vārdātī sadāqatoñ kī alāmateñ haiñ hadīs-e-dil kī rivāyateñ haiñ
usī amānat ko jo hamesha sambhāltī hai sañvārtī hai vo shā.irī hai
anā ke dam se hai nāz-e-hastī anā ke jalvoñ kā ā.īna-dār hai har ik fan
vo ḳhud-numā.ī jo ḳhushnumā hai magar jo thoḌī sī nargisī hai vo shā.irī hai
jo baat nasrī hai nazriyātī hai jadliyātī hai vo mukammal kabhī na hogī
magar jo mujmal hai aur mauzūñ hai aur hatmī aur āḳhirī hai vo shā.irī hai
tijāratoñ kī siyāsateñ ab adab kī ḳhidmat-guzāriyoñ meñ lagī huī haiñ
jo jī rahā hai jo gā rahā hai mushā.era hai jo mar rahī hai vo shā.irī hai
jo dīda-rezī bhī jāñ-gudāzī ke saath hogī to lafz saare guhar baneñge
'ḳhalish' yaqīnan ye sirf zor-e-qalam nahīñ hai jo shā.irī hai vo shā.irī hai