Badr-e-Alam Khalish

damak uThi hai faza mahtab-e-KHwab ke sath

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
damak uThī hai fazā māhtāb-e-ḳhvāb ke saath
dhaḌak rahā hai ye dil kis rabāb-e-ḳhvāb ke saath
haTe ġhubār jo lau se to merī jot jage
jalūñ maiñ phir se na.ī āb-o-tāb-e-ḳhvāb ke saath
hai sau adāoñ se uryāñ fareb-e-rañg-e-anā
barahna hotī hai lekin hijāb-e-ḳhvāb ke saath
to kyuuñ sazā meñ ho tanhā gunāhgār koī
yahāñ to jiite haiñ sab irtikāb-e-ḳhvāb ke saath
sharār-e-sañg se sañglāḳh ho ga.e talve
huā na kuchh dil-e-ḳhāna-ḳharāb-e-ḳhvāb ke saath
sulā.e rakkhā hameñ bhī fareb-e-manzil ne
chale the ham bhī kisī ham-rakāb-e-ḳhvāb ke saath
surāġh miltā nahīñ pyaas ke safīnoñ kā
bhañvar bhī hote haiñ shāyad sarāb-e-ḳhvāb ke saath
haqīqatoñ kī chaTānoñ pe chal gayā jaadū
lo vo bhī chalne lagīñ ab sahāb-e-ḳhvāb ke saath
ajab nahīñ vahī manzar nazāra ban jaa.e
Darā rahā hai ye Dar iztirāb-e-ḳhvāb ke saath
darāḌeñ rah ga.iiñ bedāriyoñ ke naqshe par
na ham rahe na vo tum inqalāb-e-ḳhvāb ke saath
nigāh-e-dīda-e-ta.abīr ke havāle 'ḳhalish'
hai ye bayāz alag intiḳhāb-e-ḳhvāb ke saath
Top Urdushayar.com