na ulTī us ne mahfil meñ naqāb avval se āḳhir tak
rahī phir bhī tajallī-e-barq-e-tāb avval se āḳhir tak
uThātā huuñ nazar jab jānib-e-aflāk mastī meñ
to uTh jaate haiñ ye sātoñ hijāb avval se āḳhir tak
vo ā.eñge nahīñ aa.e ḳhat aa.egā nahīñ aayā
ġhalat niklī mirī tābīr-e-ḳhvāb avval se āḳhir tak
huī har baar merī bāriyoñ par bhuul saaqī ko
mujhe ḳhālī diyā jām-e-sharāb avval se āḳhir tak
gino donoñ tarah apne mazālim Thiik niklegā
shumār āḳhir se avval tak hisāb avval se āḳhir tak
jo qisse hai shigāf-e-sīna-e-ḳhud-chāk ke lab par
ba-gosh-e-chashm sun leñ āñ-janāb avval se āḳhir tak
kahīñ umr-e-ravāñ dam-bhar Thaharne ko nahīñ ruktī
rahā kartī hai ye pā dar-rikāb avval se āḳhir tak
kitāb-e-ishq paḌhnī chāhiye tujh ko bhī ai nāseh
baḌā dilchasp hai ek ek baab avval se āḳhir tak
shab-e-sard-e-zamistāñ kī tarah afsurda afsurda
guzartā hai ġharīboñ kā shabāb avval se āḳhir tak
guloñ ke darmiyāñ shor-e-fuġhāñ kartī rahī bulbul
na chauñkā ek bhī ġhaflat ma.aab avval se āḳhir tak
kināre paar kar ke sust ho jaatā hai dariyā bhī
kise rahtā hai yaksāñ iztirāb avval se āḳhir tak
bahut jhiḌkā bahut DāñTā bahut tambīh kī mujh ko
bahut pur-lutf thā un kā ḳhitāb avval se āḳhir tak
gunāhoñ hī gunāhoñ meñ kaTī hai zindagī merī
yahī maiñ ne kamā.e haiñ savāb avval se āḳhir tak
ta.ajjub hai ki maiñ jāñ-soḳhta zinda rahā kyuuñ kar
judā.ī thī jahannum kā azaab avval se āḳhir tak
ye achchhā hī huā ham kāmyāb qurb hone meñ
ba-har-sūrat rahe nā-kāmyāb avval se āḳhir tak
hayāt-afroz thī un kī javānī jin shahīdoñ ne
lagā.e na.ara-hā-e-inqalāb avval se āḳhir tak
jise be-misl andāz-e-suḳhan ho dekhnā 'anvar'
paḌhe merā kalām-e-lā-javāb avval se āḳhir tak