nishān-e-zaḳhm pe nishtar-zanī jo hone lagī
lahū meñ zulmat-e-shab uñgliyāñ bhigone lagī
huā vo jashn ki neze buland hone lage
niyām teġh kī ḳhanjar ke saath sone lagī
jahāñ meñ dauḌ ke pahuñchā thā vo ghanerī chhāñv
zarā sī der meñ zār-o-qatār rone lagī
nadī Dubā.ū na thī Dūbnā paḌā lekin
kināre pahuñchā to sharmindagī Dubone lagī
sab apnī pyaas bujhāne meñ mahv the hama-tan
huā ye phir ki havā sho.ala-ḳhez hone lagī
baḌhā.e haath madad ko darāz dastoñ ne
to apnā bojh vo chyūñTī kī tarah Dhone lagī
kuchh aur surḳh-rū ho kar uThe vo maqtal se
ghaTā bhī uTThī to dāman ke daaġh dhone lagī
vo pīr-zan jise kāñTe nikālne the 'ḳhalish'
vo sāhira kī tarah sūiyāñ chubhone lagī