Badr-e-Alam Khalish

gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
gaurayyoñ ne jashn manāyā mere āñgan bārish kā
baiThe baiThe aa ga.ī niiñd isrār thā ye kisī ḳhvāhish kā
chand kitābeñ thoḌe sapne ik kamre meñ rahte haiñ
maiñ bhī yahāñ gunjā.ish bhar huuñ kis ko ḳhayāl ārā.ish kā
Thahar Thahar kar kauñd rahī thī bijlī bāhar jañgal meñ
train rukī to sarpaT ho gayā ghoḌā vaqt kī tāzish kā
Tiis purāne zaḳhmoñ kī thī niiñd uchaT ga.ī āñkhoñ se
bhiig rahā thā karvaT karvaT gosha gosha bālish kā
kisī ke dil par dastak dūñgā kisī ke ġham kā dukhḌā huuñ
sunñe vaale samajh rahe haiñ naġhma huuñ farmā.ish kā
sar ke uupar ḳhaak uḌī to sab dil thaam ke baiTh ga.e
ḳhabar nahīñ thī guzar chukā hai mausam abr-e-navāzish kā
reñg rahī thiiñ amar-latā.eñ chhup chhup kar shādābī meñ
uryāñ hotī shāḳhoñ se ab bharam khulā zebā.ish kā
apnī hī dhun meñ magan rahtā hai sachche sur kā sāzinda
jaise ki maiñ huuñ matvālā ḳhud apne tarz-e-nigārish kā
qadam qadam hai vīrāna kahīñ aur 'ḳhalish' ab kyā jaanā
varna shauq mujhe bhī kal thā sahrā kī paimā.ish kā
Top Urdushayar.com