Badr-e-Alam Khalish

qadmon se itna dur kinara kabhi na tha

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
qadmoñ se itnā duur kināra kabhī na thā
nā-qābil-e-ubūr ye dariyā kabhī na thā
tum sā hasīñ in āñkhoñ ne dekhā kabhī na thā
lekin ye sach nahīñ koī tum sā kabhī na thā
hai zikr-e-yār kyuuñ shab-e-zindāñ se duur duur
ai ham-nashīñ ye tarz ġhazal kā kabhī na thā
kamre meñ dil ke us ke alāva koī nahīñ
hairān huuñ ki aisā añdherā kabhī na thā
kis ne bisāt-e-bahs ke mohre badal diye
tanhā to thā vo pahle bhī gūñgā kabhī na thā
imroz-e-intizār kā fardā to kal bhī hai
andoh-e-imshabī kā saverā kabhī na thā
har zehn meñ hamesha sulagtā hai ye savāl
āḳhir huā vo kyuuñ jise honā kabhī na thā
dīvāna thā bhaTak gayā gum ho gayā hai qais
ḳhālī magar kajāva-e-lailā kabhī na thā
kal bhī isī dayār meñ thā raushnī kā qaht
aisā magar charāġh kā dhandā kabhī na thā
pighlī kuchh aur barf to ik aur shahr-e-ḳhvāb
yuuñ bah gayā nasheb meñ goyā kabhī na thā
barsā hai kis babūl pe abr-e-bahār-ḳhez
itnā harā to zaḳhm-e-tamannā kabhī na thā
us ne bhī iltifāt se dekhā thā kab 'ḳhalish'
maiñ ne bhī us ke baare meñ sochā kabhī na thā
Top Urdushayar.com