Badr-e-Alam Khalish

gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
gum hue jaate haiñ dhaḌkan ke nishāñ ham-nafaso
hai dar-e-dil pe koī sañg-e-girāñ ham-nafaso
risne lagtī haiñ jab āñkhoñ se tezābī yādeñ
baat karte hue jaltī hai zabāñ ham-nafaso
dil se lab tak koī kohrām sā sannāTā hai
ḳhud-kalāmī mujhe le aa.ī kahāñ ham-nafaso
ik subuk mauj hai ik lauh-e-daraḳhshāñ pe ravāñ
hai tamāshā.ī yahāñ saarā jahāñ ham-nafaso
kitne masrūf haiñ masrūr nahīñ phir bhī ye log
hai ye kyā silsila-e-kār-e-ziyāñ ham-nafaso
shaam tamhīd-e-ġhazal raat hai takmīl-e-ġhazal
din nikalte hī nikal jaatī hai jaañ ham-nafaso
rashk-e-mahshar koī qāmat to nigāhoñ meñ jache
dil meñ baaqī hai abhī tāb-o-tavāñ ham-nafaso
zinda ho rasm-e-junūñ kis kī navā-rezī se
ab rahā kaun yahāñ sho.ala-ba-jāñ ham-nafaso
aaj kī shaam ġhazal kyuuñ na 'ḳhalish' se hī suneñ
DhūñD kar laa.e koī hai vo kahāñ ham-nafaso
Top Urdushayar.com