dil ke zaḳhmoñ ko harā karte haiñ
kyuuñ tujhe yaad kiyā karte haiñ
in añdheroñ ko hiqārat se na dekh
ye charāġhoñ kā bhalā karte haiñ
saarī bāteñ nahīñ maanī jātīñ
bachche to zid hī kiyā karte haiñ
itnā sochā hai tire baare meñ
ab tire haq meñ duā karte haiñ
pārsā duniyā meñ koī bhī nahīñ
aadmī saare ḳhatā karte haiñ
ab to ġhazloñ ke havāle se tirā
zikr duniyā se kiyā karte haiñ