hañsī hañsī meñ har ik ġham chhupāne aate haiñ
hasīn sher hameñ bhī sunāne aate haiñ
hamāre dam se hī ābād haiñ galī-kūche
chhatoñ pe ham hī kabūtar uḌāne aate haiñ
darīcha khol diyā thā tire ḳhayāloñ kā
havā ke jhoñke abhī tak suhāne aate haiñ
visāl hijr vafā fikr dard majbūrī
zarā sī umr meñ kitne zamāne aate haiñ
hasīn ḳhvāboñ se milne ko pahle sote the
ki ab to ḳhvāb bhī nīndeñ uḌāne aate haiñ
'ra.īs' khiḌkiyāñ saarī na kholiye ghar kī
havā ke jhoñke diye bhī bujhāne aate haiñ