bas ik ḳhatā kī musalsal sazā abhī tak hai
mire ḳhilāf mirā ā.īna abhī tak hai
sabhī charāġh añdheroñ se mil ga.e lekin
harīf-e-mauj-e-havā ik diyā abhī tak hai
miTā sake na use hādsoñ ke dariyā bhī
vo ek naam jo dil par likhā abhī tak hai
girī hai merī jo dastār ġham huā lekin
ye shukr kartā huuñ band-e-qabā abhī tak hai
nazar uThā ke kahā mai-kade meñ saaqī ne
vo kaun hai jo yahāñ pārsā abhī tak hai
na jaane kaun se sadmoñ kā shor thā is meñ
guzar chukā vo idhar se sadā abhī tak hai