tire sulūk kā ġham sub.h-o-shām kyā karte
zarā sī baat pe jiinā harām kyā karte
ki be-adab kā bhalā ehtirām kyā karte
jo nāstik thā use rām-rām kyā karte
vo koī 'mīr' hoñ 'ġhālib' hoñ yā 'anīs'-o-'dabīr'
suḳhan-varī se baḌā koī kaam kyā karte
na niiñd āñkhoñ meñ baaqī na intizār rahā
ye haal thā to koī nek kaam kyā karte
mizāj meñ thā takabbur to harkatoñ meñ ġhurūr
phir aise shaḳhs ko ham bhī salām kyā karte
'ra.īs' ḳhū-e-vafā ne hameñ rulāyā hai
phir is chalan ko bhalā ham bhī aam kyā karte