mere har ek saañs meñ shirkat hai aah kī
khaa.e hue huuñ choT tumhārī nigāh kī
kyā ruḳh badal badal ke mujh āshufta-hāl par
parchhā.iyāñ paḌīñ tirī zulf-e-siyāh kī
baḌhtī ga.ī gunāh kī lazzat gunāh meñ
paḌtī ga.ī gunāh se aadat gunāh kī
sab kuchh nibāhnā hai bahut sahl āj-kal
ya.anī nibāh shart nahīñ hai nibāh kī
anjām āshkār hai mujh ġham-nasīb kā
lī hai panāh tere ġham-e-be-panāh kī