duniyā meñ jo samajhte the bār-e-girāñ mujhe
vo hī sunā rahe haiñ mirī dāstāñ mujhe
muḌ muḌ ke dekhtā thā tire naqsh-e-pā ko maiñ
tanhā samajh ke chal diyā jab kārvāñ mujhe
do gaam mere saath chale rāh-e-ishq meñ
miltā nahīñ hai aisā koī rāz-dāñ mujhe
ḳhāmoshiyoñ se rābta qaa.em jo kar liyā
duniyā samajh rahī hai abhī be-zabāñ mujhe
maiñ ne 'ra.īs' ḳhidmat-e-sher-o-suḳhan jo kī
is vāste aziiz hai urdu zabāñ mujhe