aur kuchh tez chalīñ ab ke havā.eñ shāyad
ghar banāne kī milīñ ham ko sazā.eñ shāyad
bhar ga.e zaḳhm masīhā.ī ke marham ke baġhair
maañ ne kī haiñ mire jiine kī duā.eñ shāyad
maiñ ne kal ḳhvāb meñ ḳhud apnā lahū dekhā hai
Tal ga.iiñ sar se mire saarī balā.eñ shāyad
maiñ ne kal jin ko añdheroñ se dilā.ī thī najāt
ab vahī log mire dil ko jalā.eñ shāyad
phir vahī sar hai vahī sañg-e-malāmat us kā
dar-guzar kar diiñ mirī us ne ḳhatā.eñ shāyad
ab vo kahtā nahīñ mujh se ki barhana tū hai
chhin ga.iiñ us ke badan kī bhī qabā.eñ shāyad
is bharose pe khilā hai mirā darvāza 'ra.īs'
rūThne vaale kabhī lauT ke aa.eñ shāyad