sabhī añdhere sameTe hue paḌe rahnā
charāġh-e-rāh-guzar is tarah bane rahnā
ye ḳhvāhishoñ kā samundar sarāb jaisā hai
sabhī kā apne ta.āqub meñ bhāgte rahnā
na.ī bahār kī ḳhushiyāñ nasīb hoñ lekin
nishāniyāñ ga.e mausam kī bhī rakhe rahnā
udaas chehre koī bhī nahīñ paḌhā kartā
numā.ishoñ kī tarah aap bhī saje rahnā
maiñ itnī bhiiḌ meñ ik roz kho bhī saktā huuñ
kasī jagah to mirā naam bhī likhe rahnā
ai zindagī mire dukh-sukh kahāñ ye chhoḌ aa.ī
vo lamha lamha bikharnā vo rat-jage rahnā
'ra.īs' kaun sā aaseb hai makānoñ meñ
tamām shahr ye kahtā hai jāgte rahnā