abr sahrā-e-jāñ talāsh kare
pyaas apnā jahāñ talāsh kare
har aqīdat kī ek manzil hai
har jabīñ āstāñ talāsh kare
apne mahvar pe rah nahīñ saktī
jo zamīñ āsmāñ talāsh kare
ishq DhūñDe kahāniyāñ apnī
husn apnā bayāñ talāsh kare
koī to rāstoñ pa nikle bhī
koī to kārvāñ talāsh kare
kyā haqīqat pe chal gayā afsūñ
kyā yaqīñ bhī gumāñ talāsh kare
kyā sitāroñ se jā milīñ āñkheñ
kyā nazar kahkashāñ talāsh kare
kis ko kirdār kī tamannā hai
kaun ab dāstāñ talāsh kare
jaao kah do 'nisār' jā ke use
ham sā ik mehrbāñ talāsh kare