Nisar Turabi

badal badal ke teri be-ruKHi ne dekha hai

Nisar Turabi

Pakistan

1961
badal badal ke tirī be-ruḳhī ne dekhā hai
ye hādsa bhī mirī bebasī ne dekhā hai
mujhe ḳhabar hai ki zulmat Thahar nahīñ saktī
mujhe patā hai ise raushnī ne dekhā hai
mirī ġhazal hai sulagte huoñ ne dekhā hai
ki merā aks mirī shā.irī ne dekhā hai
meñ jhuum jhuum gayā le ke aasrā us kā
ki merī samt achānak ḳhushī ne dekhā hai
bichhaḌ ke jaise dobāra bhī aa milā huuñ use
kuchh is adā se mujhe zindagī ne dekhā hai
jo puure chāñd se baḌh kar hasīn hai yaaro
vo ik sitāra hai jis ko sabhī ne dekhā hai
ye raaz chhup nahīñ saktā hai merī bastī kā
sitam kā sail-e-ravāñ har kisī ne dekhā hai
tū jis bhī ruup meñ aa.e to jaan jā.eñge
ḳhayāl-e-yār tujhe āshiqī ne dekhā hai
vahī 'nisār-turābī' jabīñ kā hāsil hai
vo ek sajda jise bandagī ne dekhā hai
Top Urdushayar.com