Nisar Turabi

zist ki aagahi ka hasil hai

Nisar Turabi

Pakistan

1961
ziist kī āgahī kā hāsil hai
dard hī shā.irī kā hāsil hai
hai ḳhirad bhī ḳhirad ke narġhe meñ
ishq ḳhud gumrahī kā hāsil hai
zindagī kā sabāt hai is meñ
ye jo aañsū hañsī kā hāsil hai
yuuñ tirā paas se guzar jaanā
umr kī be-ruḳhī kā hāsil hai
pūchhtī hai sabā gulistāñ se
phuul kyuuñ tāzgī kā hāsil hai
luuT letī hai qāfile kaise
raat jab bandagī kā hāsil hai
kab ye jānegā aadmī jaane
aadmī aadmī kā hāsil hai
hai tarannum sadā ke pardoñ meñ
naġhmagī bāñsurī kā hāsil hai
soch kā samt rah nahīñ saktī
sher āvārgī kā hāsil hai
is qadar paas aa ke mat baiTho
qurb begānagī kā hāsil hai
tū mire rat-jagoñ kī manzil hai
din kī dīvāngī kā hāsil hai
Top Urdushayar.com