nazar uThī hai jidhar bhī udhar tamāshā hai
bashar ke vāste jaise bashar tamāshā hai
zamīñ Thahartī nahīñ apne paañv ke nīche
paḌāv apnā hai jis meñ vo ghar tamāshā hai
yahāñ qayām karegā na mustaqil koī
zarā sī der rukegā agar tamāshā hai
figār ho ke bhī rakkhegā ābrū-e-numū
nigāh-e-zar meñ jo dast-e-hunar tamāshā hai
ai mausamoñ ke ḳhudā bhed ye khule āḳhir
nigāh-e-shāḳh meñ kaise shajar tamāshā hai
na bāl-o-par haiñ mayassar na izn-e-goyā.ī
to is ke ma.anī haiñ apnī sahar tamāshā hai
milā 'nisār-turābī' sarā-e-hairat se
vo aa.inā jise apnī nazar tamāshā hai