Nisar Turabi

zindagi karwan ka hissa hai

Nisar Turabi

Pakistan

1961
zindagī kārvāñ kā hissa hai
hijr kī dāstāñ kā hissa hai
shakl bhī to hai aks kī bāñdī
naqsh bhī to nishāñ kā hissa hai
apnā apnā maqām hotā hai
zarra zarra jahāñ kā hissa hai
kis liye mehrbāñ nahīñ hotī
kyā zamīñ āsmāñ kā hissa hai
kas liye de rahe ho tāvīleñ
vo jahāñ hai vahāñ kā hissa hai
phir to ḳhāna-badoshī behtar hai
ki jab aziyyat makāñ kā hissa hai
phir to naav lage kināre bhī
samt agar bādbāñ kā hissa hai
tū hī fikr-e-ayāñ kā markaz bhī
tū hī harf-e-nihāñ kā hissa hai
lab pe tere jo aa ke bikhrā hai
vo bhī mere bayāñ kā hissa hai
Top Urdushayar.com