vo bekalī nahīñ dil ko vo iztirāb nahīñ
tumhāre hijr kā ab kuchh mujhe itaab nahīñ
jalā-bhunā huuñ mujhe ḳhvāhish-e-kabāb nahīñ
pilā de dho ke subū hī agar sharāb nahīñ
sunā hai ham ne ki aariz pe hai ġhubār sā kuchh
balā se ḳhat kā hamāre agar javāb nahīñ
tirī ḳhabar ke liye dekhte haiñ sab aḳhbār
mutāle.a meñ kisī ke koī kitāb nahīñ
rasīda buud bulā.e vale ba-ḳhair guzasht
tumhārī zulf se ḳhātir ko pech-o-tāb nahīñ
pilānā taul ke bāda-e-muġhāñ ḳhudā ke liye
ye din sharaf ke haiñ mīzāñ meñ āftāb nahīñ
farār kyuuñ na ho har roz jāñ-nisār ik ek
huzūr aap kī vo daulat-e-shabāb nahīñ
tumhāre zulf kī tasvīr kyā kare sairāb
ḳhatā muaaf ho ham tishna-e-sarāb nahīñ
'nasīm' pī ga.e ab mai-kadoñ meñ hai kyā ḳhaak
davā ke vāste london meñ bhī sharāb nahīñ